maine jaisa ki aapse bada kiya tha ki uske aage ki jankari main aapko agle post men likhunga to ligea main hajir hoon aapna aage ki jankari le kar. aapne to shikh hi chuke hain ki kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye.aaye ab aapko ek softweare ke bare men batata hoon jisse ki aapke bachche aur aap bhi isse softwear par khub achhi achhi chijen bana sakte hain. yah softwear paint se reletet hai .iss ka name hai tuxpaint. agar aake computer men yah softwear nahin hai to aap ghabraie nahi aap aasani se net par iss softwear ko load kar sakte hain . yeh softwear free net par uplabdh hai. aye iss net lod karne ka tarika bata doon . sabse pahle aap www.google.com par ja kar search men tuxpaint. type karen. ab aapke samne ek window khule ga jo tuxpaint ke bare men rahega ab aap ko niche di gaye link par click kar sakte hain download tux paint free uske bade download hone ke bad install karne ke liye exe.setup. doball click karen aapke samne kuchh option aegen usmen niche i agree par chek lagane ke bade ok button par click karen. ab apki tux paint install ho rahi hai hone ke bad aapke desktop par iss tarah se aayenge
ab aapke computer par tux paint install ho chuki hai ap aap iss par kuchh bhi bana sakte hain yah softwear khas kar bachon ke liye bada hi uchit softwear hain. aap kuch iss tarah ke kuchh bana sakte hain.
iss men bayen side me tools diye gaye hain .aur dahine side men stamp bane banaye hoye brass ke tool diye gaye hain . pahle aap brass tool par click karen aur stamp men se apne man pasand ke tools se kuchh bana sakte hain . men aapko iss softwear ka ek bar istemal karne ko jaroor kahoonga .agar aap logon ko mery yah post achchhi lagi to commant jaroor den . thanks.agly jankari aapko agle post ke liye chhode jaa raha hoon..